Thursday, December 27, 2018

Zubaan par jab bhi naam-e-Ahmad-e-Mukhtaar* aata hai



Zubaan par jab bhi naam-e-Ahmad-e-Mukhtaar* aata hai
Zameen ka zar’ra zar’ra wajd mein har baar aata hai

Mohabbat ashq ban kar chashm-e-muztar se tapakti hai
Pas-e-parda jo aalam hai ba-ru-e-Kaar aata hai

Khuda rakhe Madine ko Madina aisi basti hai
Mujhe saaqi to saaqi maikade par pyaar aata hai

Na dil ka hosh rahta hai na jaan ki fikr rahti hai 
Wahaan jo bhi panhuch jaaye wahi sarshaar aata hai 

Maye hubb-e-Muhammad* peene walon ke ye rutbe hain 
Qayaamat main utheingi ungliyaan maekhwaar aata hai 

Elaahi ‘Raaz’ ka raaz-e-nihaan yun aashkaara ho 
Kahe aalam Ghulam-e-Ahmad-e-Mukhtaar* aata hai 

~ Imam-us-Salekeen Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan 'Raaz' Niyazi R.A.

Hathon mein jo hai daaman-e-Mahboob-e-Elaahi


Hathon mein jo hai daaman-e-Mahboob-e-Elaahi
Seena hai mera gulshan-e-Mahboob-e-Elaahi

Khaak-e-dar-e-Hazrat ka bana leta hoon surmaa
Kaafi hai mujhe aiman-e-Mahboob-e-Elaahi

Ulfat ki fizaaein hain muhabbat ki hawaaein
Rahmat hai sir-e-madfan-e-Mahboob-e-Elaahi

Aye 'Raaz' sar-e-hashr main is shaan mein jaoon
Haathon mein liye daaman-e-Mahboob-e-Elaahi !!!

~ Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan "Raaz" Niyazi Rz.A.

Tuesday, December 4, 2018

Urs Mubarak Hazrat Siraj-us-Salekeen





🌹Urs Mubarak Hazrat Siraj-us-Salekeen Shah Mohiuddin Ahmed Quadri Chishti Nizami Niyazi Rz.A.🌹

25-27 Rabi-ul-Awwal (4-5 December 2018)

Khanqah-e-Aaliya Niyazia Bareilly Sharif 

Wednesday, August 5, 2015

Tuesday, May 28, 2013

Na ye ho saka na wo ho saka - Hazrat Shah Mohammed Taqi Urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.

Na to aah ki na to chup rahe, na ye ho saka na wo ho saka,
Na to jee sake na to mar sake, na ye ho saka na wo ho saka; 

Meri zindagi ka maamla na bigad saka na sanwar saka,
Na to aaye wo a bulaa sake, na ye ho saka na wo ho saka;

Rahi ek rang mein zindagi, na to gham mila na mili kushi, 
Na to hum bane, na to hum mite, na ye ho saka na wo ho saka; 

Badi thi ummeed wo aayenge, lagi mere dil ki bhujaayenge, 
Na to kuchh kaha, na gale mile, na ye ho saka na wo ho saka; 

Suni ek baat na ‘Raaz’ ki, ye hai shaan bandanawaaz ki, 
Na chhup rahe na ayaan huye, na ye ho saka na wo ho saka;

~ Imam-us-Salekeen Hazrat Shah Mohammed Taqi Urf Aziz miyan Al-Mutakhallis ‘Raaz’ Niyazi R.A.

Thursday, May 16, 2013

Khwaja-e-Khwajgaan Moin-ud-din - Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz Rz.A.


Khwaja-e-Khwajgaan Moin-ud-din,
Fakhr-e-kaun-o-makaan Moin-ud-din;

(Khwajgaan ke khwaja Moin-ud-din,
Kaun-o-makaan ke fakhr Moin-ud-din)

Sirr-e-Haq raa bayan Moin-ud-din,
Be-nishaan raa nishaan Moin-ud-din;

(Israar-e-Haq ka bayaan Moin-ud-din,
Benishaan ka nishaan Moin-ud-din)

Mazhar-e-jalwaagaah-e-Noor-e-Qidam,
Aftaab-e-jahaan Moin-ud-din;

(Noor-e-qidam yaani humesha rahne waale noor ki jalwagaah aur mazhar,
Duniya ka aftaab Moin-ud-din)

Murshid-o-rahnuma-e-ahl-e-jahaan,
Haadi-e-ins-o-jaan Moin-ud-din;

(Duniya walon ke murshid aur rahnuma,
Ins-o-jinn ke rahbar Moin-ud-din)

Aashiqaan raa daleel-e-raah-e-yaqeen,
Sidrah-e-ghumaan Moin-ud-din;

(Aashiqon ke liye raah-e-yaqeen ki daleel,
Waham-o-ghumaan ko rokne waale Moin-ud-din)

Khwaja-e-la-makaan-o-kuds-e-makaan,
Asmaan aastaan Moin-ud-din;

(Lamakaan ke khwaja jo bargaah-e-Ilaahi mein qurb rakhte hain,
Jinka aastaan asmaan hai wo Moin-ud-din)

Qurb-e-Haq aye ‘Niyaz’ gar khwahi,
Saaz wird-e-zabaan Moin-ud-din !

(Aye Niyaz!  Gar Allah ka qurb chahte ho,
To apni zubaan se humesha wird karo ‘Moin-ud-din’ )

~ Az Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz Rz.A.