Na to aah ki na to chup rahe, na ye ho saka na wo ho saka,
Na to jee sake na to mar sake, na ye ho saka na wo ho saka;
Meri zindagi ka maamla na bigad saka na sanwar saka,
Na to aaye wo a bulaa sake, na ye ho saka na wo ho saka;
Rahi ek rang mein zindagi, na to gham mila na mili kushi,
Na to hum bane, na to hum mite, na ye ho saka na wo ho saka;
Badi thi ummeed wo aayenge, lagi mere dil ki bhujaayenge,
Na to kuchh kaha, na gale mile, na ye ho saka na wo ho saka;
Suni ek baat na ‘Raaz’ ki, ye hai shaan bandanawaaz ki,
Na chhup rahe na ayaan huye, na ye ho saka na wo ho saka;
~ Imam-us-Salekeen Hazrat Shah Mohammed Taqi Urf Aziz miyan Al-Mutakhallis ‘Raaz’ Niyazi R.A.