Monday, April 29, 2013

Na ye ho saka na wo ho saka - Hazrat Shah Muhaamad Taqi urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.


Na to aah ki na to chup rahe, na ye ho saka na wo ho saka,
Na to jee sake na to mar sake, na ye ho saka na wo ho saka;


Meri zindagi ka maamla na bigad saka na sanwar saka, 
Na to aaye won a bulaa sake, na ye ho saka na wo ho saka; 


Rahi ek rang mein zindagi, na to gham mila na mili kushi, 
Na to hum bane, na to hum mite, na ye ho saka na wo ho saka; 



Badi thi ummeed wo aayenge, lagi meri dil ki bhujaayenge, 
Na to kuchh kaha na gale mile, na ye ho saka na wo ho saka; 



Suni ek baat ne ‘Raaz’ ki, ye hai shaan bandanawaaz ki, 

Na chhup rahe na ayaan huye, na ye ho saka na wo ho saka..!!



~ Imam-us-Salekeen Hazrat Shah Mohaamad Taqi urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.


No comments:

Post a Comment