Showing posts with label Hazrat Aziz Miyan. Show all posts
Showing posts with label Hazrat Aziz Miyan. Show all posts
Wednesday, August 5, 2015
Monday, April 29, 2013
Na ye ho saka na wo ho saka - Hazrat Shah Muhaamad Taqi urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.
Na to aah ki na to chup rahe, na ye ho saka na wo ho saka,
Na to jee sake na to mar sake, na ye ho saka na wo ho saka;
Meri zindagi ka maamla na bigad saka na sanwar saka,
Na to aaye won a bulaa sake, na ye ho saka na wo ho saka;
Rahi ek rang mein zindagi, na to gham mila na mili kushi,
Na to hum bane, na to hum mite, na ye ho saka na wo ho saka;
Badi thi ummeed wo aayenge, lagi meri dil ki bhujaayenge,
Na to kuchh kaha na gale mile, na ye ho saka na wo ho saka;
Suni ek baat ne ‘Raaz’ ki, ye hai shaan bandanawaaz ki,
Na chhup rahe na ayaan huye, na ye ho saka na wo ho saka..!!
~ Imam-us-Salekeen Hazrat Shah Mohaamad Taqi urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.
Saturday, December 29, 2012
Tumhari beniyazi ka tamaasha hum bhi dekhenge - Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi ‘Raaz’ Niyazi R.A.
Tumhari beniyazi ka tamaasha hum bhi dekhenge,
Ye aalam kis tarah hota hai ruswa hum bhi dekhenge;
Kisi din to tumhare aastane se karam hoga,
Kisi din to kamaal-e-zauq-e-sajda hum bhi dekhenge;
Shakista paa hain lekin badh rahe hain jaanib-e-manzil,
Kisi surat to ummeedon ka sahaara hum bhi dekhenge;
Azal ke din jo dikhlaaya tha terey lutf-e-paiham ne,
Wahi naqsha wahi jalwa khudaara hum bhi dekhenge;
Zaraa aye ‘Raaz’ uthne do nigaahe banda-parwar ko
Khud apne raaz ko aalam mein afshaan hum bhi dekheinge..!!!
~ Az Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi ‘Raaz’ Niyazi R.A.

Wednesday, October 17, 2012
Tuesday, October 16, 2012
Meri aankhon ka aakhir door ye aazaar kaise ho - Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.
~Meri aankhon ka aakhir door ye aazaar kaise ho~
Meri aankhon ka aakhir door ye aazaar kaise ho
Tujhe kis tarah dekhoon tera deedaar kaise ho
Mujhe de kar gham-e-furqat khabar meri nahin layte
Mujhe itna do batla do mere Sarkaar kaise ho
Dawa jab tum nahin detey shifa jab tum nahin detey
To aakhir fir sukoon-e-khaatir-e-bimaar kaise ho
Mere saaqi ye batla de tere maikhaane ke sadqe
Nazar jisne milaa li ho wo phir hoshiyaar kaise ho
Fugaan-e-‘Raaz’ ko ye raazgar tum kyun nahin suntey
Kew o kab se fugaan karta hai tum bedaar kaise ho
~ Imaam-us-Salekeen Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.
Saturday, October 13, 2012
Aah ko dard chaahiye - Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi urf Aziz Miyan “Raaz” Niyazi R.A.
Aah ko dard chaahiye, naghme ko saaz chaahiye
Raaz ka maajra hai ye Raaz ko Raaz chaahiye
Hijr ki lazzaton mein gum hai saari kaaynaat
Mujhko to har sahar ke baad shaam-e-daraaz chaahiye
Kya merey zauq-e-bandagi, chaahiye koi aastaan
Kya meri aarzoo-e-deed jalwa taraaz chaahiye
Zauq-e-sujood kya karey,Naat-o-Durood kya karey
Maarfat-e-Habeeb ko qalb-e-gudaaz chaahiye
Yaani ke ho niyaaz-e-ishq, naghma-e-soz-o-saaz-e-ishq
Jo ho kisi ka raaz-e-ishq, ‘Raaz’ wo raaz chaahiye !!!!!
~ Az Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi urf Aziz Miyan “Raaz” Niyazi R.A.
Friday, December 24, 2010
Aftaab-e-deen tumheen ho mahtaab-e-deen tumheen - Manqabat in the praise of Hazrat Imam Hussain A.S. by Hazrat Shah Muhammad Taqi 'Raz' Niyazi R.A.
Sunday, July 18, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)