Showing posts with label Raaz Niyazi. Show all posts
Showing posts with label Raaz Niyazi. Show all posts

Thursday, December 27, 2018

Zubaan par jab bhi naam-e-Ahmad-e-Mukhtaar* aata hai



Zubaan par jab bhi naam-e-Ahmad-e-Mukhtaar* aata hai
Zameen ka zar’ra zar’ra wajd mein har baar aata hai

Mohabbat ashq ban kar chashm-e-muztar se tapakti hai
Pas-e-parda jo aalam hai ba-ru-e-Kaar aata hai

Khuda rakhe Madine ko Madina aisi basti hai
Mujhe saaqi to saaqi maikade par pyaar aata hai

Na dil ka hosh rahta hai na jaan ki fikr rahti hai 
Wahaan jo bhi panhuch jaaye wahi sarshaar aata hai 

Maye hubb-e-Muhammad* peene walon ke ye rutbe hain 
Qayaamat main utheingi ungliyaan maekhwaar aata hai 

Elaahi ‘Raaz’ ka raaz-e-nihaan yun aashkaara ho 
Kahe aalam Ghulam-e-Ahmad-e-Mukhtaar* aata hai 

~ Imam-us-Salekeen Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan 'Raaz' Niyazi R.A.

Wednesday, August 5, 2015

Us rang mein khush hoon main jis mein ki piya chaahe - Hazrat Shah Mohammed Taqi Urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.



Saqi tu diye ja main jini ki diya chaahe !

Us rang mein khush hoon main jis mein ki piya chaahe !


~ Hazrat Imam-us-Salekeen  Shah Muhammed Taqi "Raaz" Niyazi Rz.A.

O cup-bearer ! grant me the wine of love as you pleaseth
I am happy in that state in whihc my belowed wants me to

Tuesday, May 28, 2013

Na ye ho saka na wo ho saka - Hazrat Shah Mohammed Taqi Urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.

Na to aah ki na to chup rahe, na ye ho saka na wo ho saka,
Na to jee sake na to mar sake, na ye ho saka na wo ho saka; 

Meri zindagi ka maamla na bigad saka na sanwar saka,
Na to aaye wo a bulaa sake, na ye ho saka na wo ho saka;

Rahi ek rang mein zindagi, na to gham mila na mili kushi, 
Na to hum bane, na to hum mite, na ye ho saka na wo ho saka; 

Badi thi ummeed wo aayenge, lagi mere dil ki bhujaayenge, 
Na to kuchh kaha, na gale mile, na ye ho saka na wo ho saka; 

Suni ek baat na ‘Raaz’ ki, ye hai shaan bandanawaaz ki, 
Na chhup rahe na ayaan huye, na ye ho saka na wo ho saka;

~ Imam-us-Salekeen Hazrat Shah Mohammed Taqi Urf Aziz miyan Al-Mutakhallis ‘Raaz’ Niyazi R.A.

Monday, April 29, 2013

Na ye ho saka na wo ho saka - Hazrat Shah Muhaamad Taqi urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.


Na to aah ki na to chup rahe, na ye ho saka na wo ho saka,
Na to jee sake na to mar sake, na ye ho saka na wo ho saka;


Meri zindagi ka maamla na bigad saka na sanwar saka, 
Na to aaye won a bulaa sake, na ye ho saka na wo ho saka; 


Rahi ek rang mein zindagi, na to gham mila na mili kushi, 
Na to hum bane, na to hum mite, na ye ho saka na wo ho saka; 



Badi thi ummeed wo aayenge, lagi meri dil ki bhujaayenge, 
Na to kuchh kaha na gale mile, na ye ho saka na wo ho saka; 



Suni ek baat ne ‘Raaz’ ki, ye hai shaan bandanawaaz ki, 

Na chhup rahe na ayaan huye, na ye ho saka na wo ho saka..!!



~ Imam-us-Salekeen Hazrat Shah Mohaamad Taqi urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.


Saturday, December 29, 2012

Tumhari beniyazi ka tamaasha hum bhi dekhenge - Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi ‘Raaz’ Niyazi R.A.


Tumhari beniyazi ka tamaasha hum bhi dekhenge,
Ye aalam kis tarah hota hai ruswa hum bhi dekhenge;

Kisi din to tumhare aastane se karam hoga,
Kisi din to kamaal-e-zauq-e-sajda hum bhi dekhenge;

Shakista paa hain lekin badh rahe hain jaanib-e-manzil,
Kisi surat to ummeedon ka sahaara hum bhi dekhenge;

Azal ke din jo dikhlaaya tha terey lutf-e-paiham ne,
Wahi naqsha wahi jalwa khudaara hum bhi dekhenge;

Zaraa aye ‘Raaz’ uthne do nigaahe banda-parwar ko
Khud apne raaz ko aalam mein afshaan hum bhi dekheinge..!!!


~ Az Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi ‘Raaz’ Niyazi R.A.

Wednesday, October 17, 2012

Jo aashiq-e-Bu-Turaab ho jaata hai - Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan 'Raaz' Niyazi R.A.




Jo aashiq-e-Bu-Turaab* ho jaata hai

Kaunain mein intikhaab ho jaata hai
Aye 'Raaz' gubaar-e-ku-e-Haidar*
Zarra ho to aaftaab ho jaata hai !!

(Karam Allah-o-Wajahul Kareem)

~ Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan 'Raaz' Niyazi R.A.

Tuesday, October 16, 2012

Meri aankhon ka aakhir door ye aazaar kaise ho - Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.









~Meri aankhon ka aakhir door ye aazaar kaise ho~


Meri aankhon ka aakhir door ye aazaar kaise ho

Tujhe kis tarah dekhoon tera deedaar kaise ho

Mujhe de kar gham-e-furqat khabar meri nahin layte
Mujhe itna do batla do mere Sarkaar kaise ho



Dawa jab tum nahin detey shifa jab tum nahin detey
To aakhir fir sukoon-e-khaatir-e-bimaar kaise ho

Mere saaqi ye batla de tere maikhaane ke sadqe
Nazar jisne milaa li ho wo phir hoshiyaar kaise ho

Fugaan-e-‘Raaz’ ko ye raazgar tum kyun nahin suntey
Kew o kab se fugaan karta hai tum bedaar kaise ho


~ Imaam-us-Salekeen Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.

Saturday, October 13, 2012

Aah ko dard chaahiye - Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi urf Aziz Miyan “Raaz” Niyazi R.A.



Aah ko dard chaahiye, naghme ko saaz chaahiye

Raaz ka maajra hai ye Raaz ko Raaz chaahiye

Hijr ki lazzaton mein gum hai saari kaaynaat
Mujhko to har sahar ke baad shaam-e-daraaz chaahiye

Kya merey zauq-e-bandagi, chaahiye koi aastaan
Kya meri aarzoo-e-deed jalwa taraaz chaahiye

Zauq-e-sujood kya karey,Naat-o-Durood kya karey
Maarfat-e-Habeeb ko qalb-e-gudaaz chaahiye

Yaani ke ho niyaaz-e-ishq, naghma-e-soz-o-saaz-e-ishq
Jo ho kisi ka raaz-e-ishq, ‘Raaz’ wo raaz chaahiye !!!!!

~ Az Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi urf Aziz Miyan “Raaz” Niyazi R.A.