Ishqat aanast kazd naam-o-nishaanam baqeest
Gar che faani shuda am zikr-o-bayaanam baqeest
(Mere ishq ki wajah se mera naam-o-nishaan baaqi hai,
Main fana ho gaya hoon phir bhi mera zikr-o-bayaan baaqi
hai)
Gauhar-e-hasti man gar che hubaab aasa hast,
Zaat-e-haq kaan man-o-bahr rawaanam baqeest;
(Mera hasti ka moti gar che hubab {bulbuley} ki tarah hai,
Lekin zaat-e-haq mera kaan hai aur main bathe huey
samandar ki tarah zinda hoon)
Mehfil-e-saghar-o-mai mutrib-o-nai aakhir gasht,
Mast-o-wajd-e-dil raqs kunaanam baqeest;
Saaghar,Sharaab,mutrib aur saaz ki mehfil khatm ho gai
hai,
Lekin dil ki masti aur wajd ka raqs abhi baaqi hai)
Shola-e-noor-e-qidam bar-dil-e-tooram tabeed,
Su khatm khaak shudam sozish-e-jaanam baqeest;
(Noor-e-qidam yaani humesha rahne waale noor ka shola
mere dil ke toor pe chamka,
Aur sab kuchh khatm-o-khaak ho gaya lekn dil ka soz abhi
baaqi hai)
Gar na-ma nad-em dar-een dair che baqeest ‘Niyaz’,
Kaz azal ta-ba-abad jaan-e-jahaanam baqeest !!!
(Aye ‘Niyaz’ agar main is butkade mein na bhi raha to kya
hua,
Azal se abad tak mera jaan-e-jahaan mera mahboob baaqi
rahega)
~ Hazrat Qibla Shah Niyaz Be-Niyaz Rz.A.