Tuesday, May 28, 2013

Na ye ho saka na wo ho saka - Hazrat Shah Mohammed Taqi Urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.

Na to aah ki na to chup rahe, na ye ho saka na wo ho saka,
Na to jee sake na to mar sake, na ye ho saka na wo ho saka; 

Meri zindagi ka maamla na bigad saka na sanwar saka,
Na to aaye wo a bulaa sake, na ye ho saka na wo ho saka;

Rahi ek rang mein zindagi, na to gham mila na mili kushi, 
Na to hum bane, na to hum mite, na ye ho saka na wo ho saka; 

Badi thi ummeed wo aayenge, lagi mere dil ki bhujaayenge, 
Na to kuchh kaha, na gale mile, na ye ho saka na wo ho saka; 

Suni ek baat na ‘Raaz’ ki, ye hai shaan bandanawaaz ki, 
Na chhup rahe na ayaan huye, na ye ho saka na wo ho saka;

~ Imam-us-Salekeen Hazrat Shah Mohammed Taqi Urf Aziz miyan Al-Mutakhallis ‘Raaz’ Niyazi R.A.

Thursday, May 16, 2013

Khwaja-e-Khwajgaan Moin-ud-din - Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz Rz.A.


Khwaja-e-Khwajgaan Moin-ud-din,
Fakhr-e-kaun-o-makaan Moin-ud-din;

(Khwajgaan ke khwaja Moin-ud-din,
Kaun-o-makaan ke fakhr Moin-ud-din)

Sirr-e-Haq raa bayan Moin-ud-din,
Be-nishaan raa nishaan Moin-ud-din;

(Israar-e-Haq ka bayaan Moin-ud-din,
Benishaan ka nishaan Moin-ud-din)

Mazhar-e-jalwaagaah-e-Noor-e-Qidam,
Aftaab-e-jahaan Moin-ud-din;

(Noor-e-qidam yaani humesha rahne waale noor ki jalwagaah aur mazhar,
Duniya ka aftaab Moin-ud-din)

Murshid-o-rahnuma-e-ahl-e-jahaan,
Haadi-e-ins-o-jaan Moin-ud-din;

(Duniya walon ke murshid aur rahnuma,
Ins-o-jinn ke rahbar Moin-ud-din)

Aashiqaan raa daleel-e-raah-e-yaqeen,
Sidrah-e-ghumaan Moin-ud-din;

(Aashiqon ke liye raah-e-yaqeen ki daleel,
Waham-o-ghumaan ko rokne waale Moin-ud-din)

Khwaja-e-la-makaan-o-kuds-e-makaan,
Asmaan aastaan Moin-ud-din;

(Lamakaan ke khwaja jo bargaah-e-Ilaahi mein qurb rakhte hain,
Jinka aastaan asmaan hai wo Moin-ud-din)

Qurb-e-Haq aye ‘Niyaz’ gar khwahi,
Saaz wird-e-zabaan Moin-ud-din !

(Aye Niyaz!  Gar Allah ka qurb chahte ho,
To apni zubaan se humesha wird karo ‘Moin-ud-din’ )

~ Az Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz Rz.A.

Monday, April 29, 2013

Na ye ho saka na wo ho saka - Hazrat Shah Muhaamad Taqi urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.


Na to aah ki na to chup rahe, na ye ho saka na wo ho saka,
Na to jee sake na to mar sake, na ye ho saka na wo ho saka;


Meri zindagi ka maamla na bigad saka na sanwar saka, 
Na to aaye won a bulaa sake, na ye ho saka na wo ho saka; 


Rahi ek rang mein zindagi, na to gham mila na mili kushi, 
Na to hum bane, na to hum mite, na ye ho saka na wo ho saka; 



Badi thi ummeed wo aayenge, lagi meri dil ki bhujaayenge, 
Na to kuchh kaha na gale mile, na ye ho saka na wo ho saka; 



Suni ek baat ne ‘Raaz’ ki, ye hai shaan bandanawaaz ki, 

Na chhup rahe na ayaan huye, na ye ho saka na wo ho saka..!!



~ Imam-us-Salekeen Hazrat Shah Mohaamad Taqi urf Aziz miyan ‘Raaz’ Niyazi R.A.


Sunday, April 14, 2013

Kaaba manam,haram manam - ~ Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz Rz.A.




Kaaba manam, haram manam, dair manam, Sanam manam;
Momin-o-birahman manam, man na manam, na man manam...!!!

~ Az Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz Rz.A.

(Kaaba bhi main hoon aur haram bhi main hoon, butkhaana bhi main hoon aur sanam {but} bhi main hoon;

Momin aur birahman bhi main hi hoon, Main main nahin hoon na main main hoon....!!!)

Saturday, December 29, 2012

Tumhari beniyazi ka tamaasha hum bhi dekhenge - Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi ‘Raaz’ Niyazi R.A.


Tumhari beniyazi ka tamaasha hum bhi dekhenge,
Ye aalam kis tarah hota hai ruswa hum bhi dekhenge;

Kisi din to tumhare aastane se karam hoga,
Kisi din to kamaal-e-zauq-e-sajda hum bhi dekhenge;

Shakista paa hain lekin badh rahe hain jaanib-e-manzil,
Kisi surat to ummeedon ka sahaara hum bhi dekhenge;

Azal ke din jo dikhlaaya tha terey lutf-e-paiham ne,
Wahi naqsha wahi jalwa khudaara hum bhi dekhenge;

Zaraa aye ‘Raaz’ uthne do nigaahe banda-parwar ko
Khud apne raaz ko aalam mein afshaan hum bhi dekheinge..!!!


~ Az Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi ‘Raaz’ Niyazi R.A.

Thursday, November 29, 2012

Ishqat aanast kazd naam-o-nishaanam baqeest - Hazrat Qibla Shah Niyaz Be-Niyaz Rz.A.



Ishqat aanast kazd naam-o-nishaanam baqeest
Gar che faani shuda am zikr-o-bayaanam baqeest
 
(Mere ishq ki wajah se mera naam-o-nishaan baaqi hai,
Main fana ho gaya hoon phir bhi mera zikr-o-bayaan baaqi
hai)
 
Gauhar-e-hasti man gar che hubaab aasa hast,
Zaat-e-haq kaan man-o-bahr rawaanam baqeest;
 
 (Mera hasti ka moti gar che hubab {bulbuley} ki tarah hai,
Lekin zaat-e-haq mera kaan hai aur main bathe huey samandar ki tarah zinda hoon)
 
 Mehfil-e-saghar-o-mai mutrib-o-nai aakhir gasht,
Mast-o-wajd-e-dil raqs kunaanam baqeest;
 
 Saaghar,Sharaab,mutrib aur saaz ki mehfil khatm ho gai hai,
Lekin dil ki masti aur wajd ka raqs abhi baaqi hai)
 
 Shola-e-noor-e-qidam bar-dil-e-tooram tabeed,
Su khatm khaak shudam sozish-e-jaanam baqeest;
 
 (Noor-e-qidam yaani humesha rahne waale noor ka shola mere dil ke toor pe chamka,
Aur sab kuchh khatm-o-khaak ho gaya lekn dil ka soz abhi baaqi hai)
 
 Gar na-ma nad-em dar-een dair che baqeest ‘Niyaz’,
Kaz azal ta-ba-abad jaan-e-jahaanam baqeest !!!
 
 (Aye ‘Niyaz’ agar main is butkade mein na bhi raha to kya hua,
Azal se abad tak mera jaan-e-jahaan mera mahboob baaqi rahega)
 
 
~ Hazrat Qibla Shah Niyaz Be-Niyaz Rz.A.